Friday, October 5, 2018

Audio clip sun k paise kamaye/transcription work

Audio clip sun k paise kamaye 

       
Audio clip sun k paise kamaye Hello dosto kese ho sab umid karta hu sab thik hoge. Dosto aj main apko btauga ki audio clip sun k ap ghanto k hisab se paise kama sakte hai vo bhi bohat asani se. Ap lagbhag har roz k 15$ se 30$ asni se kama sakte hai.
Audio clip sun k paise kamaye/transcription work

Apne kai saari esi website dakhi hogi jisme apko mehnat jada karni padti hai or apko paise bohat kam milti hai par aj main apko 5 esi website btauga ki jisme apko mehnat kam or paise jada milege to chaliya dakhte hai konsi hai vo website ho usme kese or kya kaam karna hai.

Audio clip sun k paise kamaye

Dosto jo aj main apko website batane ja raha hu us website se bohat se log paise kama rahe hai or ap bhi kama sakte hai. Audio sun k paise kamaye apko sayad sun k ajeeb lag sakta hai ki koi esa kyu karega ya koi audio sun k usko trasltran kar k humko paise kyu dega. Par dosto jo site me btauga apko uski rating google me check kar sakte hai or kaam kar sakte hai. Is kaam ko ko transcription work bhi bola jata hai.
Jo website me apko btane ja raha hu apko usme signup karna hoga or ho sakta hai apka test bhi liya jaye chota sa test hoga jisko agar ap pass kar loge to apko aage work milega. Audio clip lagbhag 1 se 2 min ki he hogi us se jada nahi. To chaliye dakh lete hai konsi hai vo websites or usme kya kya kaam hoga.

Websites 

Ye 5 websites hai jisme apko kaam karna hai. Ab is websites me 2 tarha ke log hote hai ek jo kaam dete hai ek hum jo kaam lete hai ya karte hai. Ho sakta hai jo kaam le raha uski demand transcription ki jagha kuch or ho for example: jo kam de raha hai vo apse transcription, app review, site reviews,video review, app testing, site visiting jese kaam karne ko bol sakta hai. Jitne apke profile pe star hoge utni apki ranking badegi or usse dakh k utne apko pass work aayega jis ko kar k ap paise kama sakte hai.


Final words 
Audio sun k paise kamaye agar apko ye kam acha lagta hai ya ap ye kaam suru karna chate hai to suru karne se pehle research jarur kare. Or agar apko ye artical acha lage to dosto sath share karna na bhule or agar apke mann me koi sawal hai to comment jarur kare
Thanks for reading

Sunday, September 30, 2018

Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]


Fast Adsense approvel tips and tricks 2019:- Hello friends ek baar fir se apka sawagat hai ap sabke blog main. Aj main ap sabko btauga ki fast Adsense approvel kese liya jata hai vo bhi bohat he aasani k sath. Kai baar esa hota hai ki hum blog bana to lete hai par humko Adsense approvel lene me dikkat aati hai jese ki suru k dino me mujhe bhi i thi. Aj main is artical me apko btauga ki fast Adsense approvel kese liya jata hai To chaliye suru karte hai.
Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Agar ap ek naye blogger hai or apne abhi abhi apna blog bnaya hai to apke mann me ye sawal rehta hai ki blog mene bana liya or itni mehnat bhi kar raha hu ab kisi tarha mere ko fast Adsense approvel bhi mil jaye par jaldi jaldi k chakar me hum sab khrab kar lete hai or humko Adsense approvel lene me dikkat hoti hai.
Niche diye gaye ye kuch points hai agar ap iske mutabik chalte hai to apko Adsense approvel lene se koi nahi rok sakta.

Also read:



Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Important points

1:- Posts agar ap apne blog main fast Adsense approvel lena chate hai to apke blog me kam se kam 20 artical hone he chiye is se google ko lagta hai ki jiska blog hai vo insaan mehnat kar raha hai or isko approvel dena chiye. Apne dakha hoga kai baar log kehte hai ki humara 6 artical me approvel ho gya ya 10 artical me approvel mil gya par agar dosto ap pehle he shot me approvel lena chate hai to kam se kam 20 post honi he chiye.

2:- Original contant dosto apko is baar ka dhyaan rakhna hai ap koi bhi post likh rahe hai to vo contant apka khud ka hona chiye apko kahi se copy paste nahi karna hai. Ho sakta hai ap kahi se news sun k ya dakh ap post likh rahe hai par apko dhyaan rakhna hai ki ap apni language me likhe jis se logo ko samaja ne me asni ho.

3:- Post length apko post length ka bhi khas khyaal rakhna hoga. Jo 20 artical ap likhoge fast Adsense approvel lene k liye un 20 artical ki length kam se kam 700 se 1000 words ki honi chiye is baat ka khyaal apko khas rakhna hai.

4:- Seo friendly theme ap jab bhi apna blog banaye apko is baat ka bhi khyaal rakhna hai ki apki theme seo friendly ho jo mobile main bhi chalti ho or pc main bhi or laptop main bhi. Jab koi apki site me visit kare to usko samaj aana chiye ki kya post hai kya heading hai apki theme achi honi chiye taki sabko samaj aa sake.

5:- About us, privacy policy ,contact us or disclaimer apko ye 4 page banane he banane hai agar ap ye page nahi banaye gaye  to apka adsense kabhi bhi approvel nahi hoga chahe ap 100 baar try kar le. Ye 4 page ap bohat asani se bana sakte hai kuch online tools hai jiski madad se ap ye 4 page asani se bana loge agar apko jaan na hai ki konsa tool hai to pls comment section me comment kare.

Final words
Agar ap ye 5 step follow karte hai to apko 100% fast Adsense approvel milega he milega agar apko fir bhi koi dikkat aati hai to ap comment section me comment kar k puch sakte hai  main apke har ek sawal ka jawab duga or apko  fast adsense approvel lene me madad karuga.
Thanks

Wednesday, September 26, 2018

Notification bar main apna naam kaise likhe

Notification bar main apna naam kaise likhe


Notification bar main apna naam kaise likhe kai bar apne internet pe ya youtube main dakha hoga ki logo ne apne notification bar pe apna naam likha hua hai or apka mann bhi karta hai ki ap bhi apne notification bar pe apna naam likhna chate hai to chaliye is artical me jaan lete hai.
Notification bar main apna naam kaise likhe


Notification bar main apna naam kaise likhe


Agar apke pass android mobile hai or ap apne notification ka naam change karna chate hai. Notification naam change karne se matlab ye hai ki jese ap apne mobile ka sim use karte hai or us sim ka naam apke notification me nazar aata hai jese apke pass airtel ka sim hai to apke notification me airtel likha aayega isi tarha agar apke pass or kisi company ka sim hai to apko us sim ka naam nazar aayega.

Agar ap us sim k naam ki jagha apna naam ya kisi or ka naam likhna chate hai to apko kuch simple c setting change karna hoga or bas kam khatam chaliye dakhte hai kese karna hai

Naam kese change kare 

Sabse pehle apko apni mobile ki setting me jaana hoga settings me jane ke baad apko notification and status bar me jana hoga ( ye setting mi k mobile k liye hai agar apke pass or kisi company ka mobile hai to apko khud serch karna hoga) notification and status bar me jane jane k baad edit carrer name pe click karna hoga ab ap dakhege ki apka sim ka naam vaha show kar raha hai apko sim ka naam hata k apna koi bhi naam bhar dena hai jo ap rakhna chate hai. Naam rakhne ke baad apko show carrer name pe click karna hoga or usme always show carrer name pe click karna hoga. Notification bar me apna naam likhne ka ye sabse aasan tarika hai. Agar apko fir bhi kuch samaj aa raha to is phots ko follow kare.
1
Notification bar main apna naam kaise likhe
2

Notification bar main apna naam kaise likhe
3

Notification bar main apna naam kaise likhe
4
Notification bar main apna naam kaise likhe


Agar apko mera ye artical acha lage ho to apne dosto ke sath share karna na bhule or agar apke mann me koi sawal hai ki notification bar main apna naam kaise likhe to ap comment me puch sakte hai 

Tuesday, August 21, 2018

TOP 10 BEST INDIAN BLOGGER IN INDIA 2018

TOP 10 BEST INDIAN BLOGGER IN INDIA 2018


Top 10 best indian blogger in india is artical me main apko btauga ki is list me kon sabse upar hai or unki months income kya hai.
TOP 10 BEST INDIAN BLOGGER IN INDIA 2018

Top 10 best indian blogger in india 2018 ye sawala aksar apke mann me chalta hota or ap google me search bhi karte hoge par apko vaha ek lambi sari website k link dakhne ko milte hai or kuch nahi. Ho sakta hai agar ap ye mera artical thoda late padh rahe hai to jo list me bata raha vo upar niche ho sakti hai ya koi naya blogger bhi is list me aa sakta hai filah ye he best hai aj ki ghadi me.

To chaliye suru karte hai or suru karte hai 10th numb se:

Also read:
History of pubg game

Apne website ki speed kese check kare?

TOP 10 BEST INDIAN BLOGGER IN INDIA 2018


10:- Arun Prabhudesai

  • Estimated earnings:-4000$(month)
  • Place:- pune, india
  • Blog name:- www.trak.in
  • Global ranking:-18,917
  • India ranking:- 1,791

9:-Jaspal Singh

  • Estimated income:-10,000$(month)
  • Place:- Jaipur, india
  • Blog name:- www.savedelete.com
  • Global ranking:- 90,800
  • India ranking:- 12,610


8:-Amit Bhawani 
  • Eastimated income:- 14,115$(month)
  • Place:- Hyderabad, india
  • Blog- www.amitbhawani.com
  • Global ranking:- 236,643
  • Indian ranking:- 31,480

7:-Srinivas Tamada
  • Eastimated income:- 16,000$(month)
  • Place:- Chennai, india
  • Blog name:-www.9lessons.info
  • Global ranking:- 41,073
  • India ranking:- 7,158

6:-Ashish Sinha

  • Eastimated income:- 17,000$(month)
  • Place:- unknown
  • Blog name:- www.nextbigwhat.com
  • Globel ranking:- 37,998
  • India ranking:- 6,397


5:-Varun Krishnan
  • Estimated income:- 20,000$(month)
  • Place:- Chennai, india
  • Blog name:-  www.fonearena.com
  • Globel ranking - 9376
  • India ranking:- 1,053

4:-Shradha Sharma 

  • Eastimated income:- 30,340$(month)
  • Place:- Patna, india
  • Blog name:- www.yourstory.com
  • Globel ranking:- 2,561
  • India Ranking:- 341


3:-Faisal Farooqui
  • Estimated income:- 32,000$(month)
  • Place:- America & india
  • Blog name: - www.mouthshut.com
  • Global ranking:-7,356
  • India ranking:- 752

2:-Harsh Aggarwal
  • Estimated income:-34,440$(month)
  • Place:- Delhi, india
  • Blog name:- www.shoutmeloud.com
  • Global ranking:- 4,014
  • India ranking:- 629

1:-Amit Agrawal
  • Estimated income:- 60,000$(month)
  • Place:- Delhi, india
  • Blog name:- www.labnol.org
  • Global ranking:- 6,850
  • India ranking:- 910
-------------------------------------------------------

Thanks for reading
Agar apko ye artical acha laga to doato k sath share karna na bhule

Tuesday, August 14, 2018

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE


KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE
Keywords everywhere plugin for Android mobile dosto agar ap ek blogger hai ya apke pass ek youtube channel hai to ap is tool k baare me jante he hoge. Agar ap nahi jante to aj me apko btauga ki ye tool kya hai or iska use kese karna hai.


What is keywords everywhere


Ye ek plugin tool hai jo apke laptop ya apke pc me use kiya jata hai jada tar log isko apne pc ya laptop me he use karte hai. Agar ap youtube me bhi dakhoge to sab video pc ya laptop k upar he bnaya gya hai. 
Par har kisi k pass laptop ya computer ho ye bhi sambhav nahi. Agar ap blogging mobile se karte hai ya apka apka youtube channel hai to ye tool pass hona he chahiye. Or aj me apko btauga ki ye tool ap apne mobile pe kese use kar sakte hai.

Ab apke mann me sawal hoga akhir ye plugin ya tool karta kya hai or ye humara kaam asan kese kar deta hai to dosto agar ap google me search karte hai to vo apko ek ratio bata deta hai kisne log ye cheez search kar rahe hai. 

Par agar ap ye tool ka use kar rahe hai to ye sath me apko te bhi bta deta hai ki iske month me kithe search hue hai or kitni cpc hai or sath me suggesting keywords bhi bta deta hai. Jese ki al google pe search karte hai "how to make money online" uske search month k 1lakh hai par ye niche suggestions me ye bhi bata dega ki "how to make money online at home 2018" keyword pe monthly serch 12lakh hai or kiski cpc bhi adhik hai to ye tool humare bohat kaam aa sakta hai agar ap ek blogger ya youtuber hai to.

Also read:

Bing me sitemap kese submit kare 

Download videos in iphone

Guide to use keywords everywhere in Android

Apko is plugin ko use karne se pehle apne mobile me Firefox naam ka ek browser download karna hoga uske baad picture me dikhte anusaar apko step follow karne hoge.

Firefox browser kholne ke baad apko is 3 dot pe click karna hoga.


Isme apko add-ons ka option pe click karna hai.


Add-ons click karne k baad apko third option browse all firefox add-ons pe click karna hai.


Iske baad apko search box me keywords everywhere bharna hai.


Apko jo pehle numb pe dikh raha hai uspe click kar lena hai or apko logo saaf dikh raha hai ki 'k' likha hua hai lal rang me.


Iske baad apko add button pe click karna hai.


Iske baad ap jab 3dot ko upar se click karege to apko keywords everywhere ka sabse niche option dikhai dena suru ho jayega.


Ap ap kuch bhi google pe serch kare apko apni screen k niche kuch is tarha ha lal rang ka gola sa bana dikhai dega uspe click kare.


Red dot ko jab ap click karege apko ye likha hua dikhai dega isme apko free API key ko click karna hai.


Apme ap apna email address ko bharege or dono box ko tic kar dege.


Iske baad apko mail aayegi jisme apko ek key hogi usko apko copy kar lena hai.


Copy karne k baad apko fir 3dot pe click karna hai or sabse last me dikh rahe keywords everywhere ko click karna hai.


Ab apko yaha pe update settings ki option dikhai de rahi hai ispe click kare. Usme apko ek box dikhai dega usme apko apni copy ki gayi key ko paste karna hai or bahar aa jana hai.


Ab ap jab bhi kuch google pe search karege to apke samne is tarha se option dikhi dene suru ho jayege jo apke liye bohat he help karege.

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE
-------------------------------------------------------------------

Agar dosto apko ye artical acha laga to pls dosto k sath share kare or agar apko is artical me kuch kami lagti hai to pls apne vichar comments me dena na bhule

Thanks


Monday, August 6, 2018

BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE


BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE
Sitemap ap main se kafi logo ko pata he hoga kya hai agar apka blog hai ya ap blog ki knowledge rakhte hai. Or jin logo ko nahi pata ko site map kya hai unko me bata du ki "sitemap ka matlab hai jo apki site hai uska sab record sitemap k pass hota hai sitemap se he pata chalta hai ki apki site me kitne post hai ya jo bhi apki site me is waqt hai vo sab sitemap me hota hai"

BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

Aagar apka blog hai to apne apna site map abhi tak google webmaster tool me submit kar he diya hoga ab sawal ye hai ki humko bing ki sitemap ki jarurat kyu padti hai. 

Agar ap apni blogging ki suruati dino me hai jaha apke blog me traffic na k brabar hai or google webmaster me site ko submit karne k baad bhi traffic ghis ghis k  aa raha hai to apko ek baar bing webmaster tool me bhi apna sitemap submit karna chiye taki or log apki site tak aa sake. Kyuki hum log sochte hai ki google he ek esa serch engine hai jaha se log serch karte hai par kai desho me esa nahi hai. Kai log bing kai log yahoo or kai log Google me search karte hai. Agar humare pass bing se thodi bhi traffic aa jaye to humri site ka reng sudhar sakta hai.

  • To chaliye jaan lete hai bing me sitemap kese generate karte hai or kese submit


How to generate and submit sitemap 

Sabse pehle to apko apni site ka sitemap bnana hoga iske liye apko yaha click karna hoga Click here . Click karne k baad apko ek box dikhai dega usme apko apni site ka url bharna hai
BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

Url bharne k baad apko ek box dikhai degaa jisme apko apka sitemap hoga ye kuch code k form me hoga. Bod me dikh rahe code he apka sitemap hai. Isko ap kahi notepad pe save kar k rakh le 

Iske baat apko google main ja k likhna hai Bing webmaster jo apko pehla result dikhai dega uspe click kare or signup pe click kare. Signup click karne k baad apko 3 option dikhai degi usme se apko Microsoft ko select kar a account banana hai.
BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

Microsoft ko click karne k baad apse e-mail ka pucha jayega apni website k hisab se kuch bhi email rakh sakte hau par yaad rakhiye ki @ k aage outlook.com he lagana hai. Exp ka tor pe abcd@outlook.com ab apko sab samaj aa jayege ki aage kya karna hai.
BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE

Signup hone k baad apko apni site bing webmaster tool me submit karni hai. Uske liye apko apni site ka link box me paste kar k ya bhar k add kar dena hai.

Ab apko vaha pe ek option dikhai de rahi hogi jisme likha hoga sitemap apko uspe click karna hai or vaha box me jo apne notepad pe code likha tha uska niche vala hissa matlab jaha se apki site suru ho rahi hai usko bharna hai. Bharne k baad apko ek code dikhai dega vo code ko apko apne blog ki theme me ja k html me head k niche paste karna hoga or verify ko click karna hoga.
Or apki site kuch dino me verify ho jayegi.

Thnks for reading

Friday, August 3, 2018

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE


Hello friends, welcome. Aaj mai apko btaunga k aap apni website ya blog ki speed kaise check kar sakte hain.

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

KUCH JARURI BAATEN

Jab aap apne lia koi blog ya website bnate ho to uske lia apko template ki jarurat hoti hai or uski designing achi bnane k lia aap bohat saare widget ka use karte ho or additional feature add karne k lia aap wordpress k blog me naye naye plugin ka use karte ho. Jab blog acha bann jata tab usme post likhi jaati hai or post k sath image add karte hain or post ko publish kiya jata hai taaki user blog par visit kare or us post ko padh sake. Jab viewers apke blog par aate hain or kisi post ko padhna chahte hain to sabse important hota hai k apke blog ki speed kaisi hai or user k PC/laptop pe khul rahi hai ya nahi ya fir apka blog slow internet connection par open hota hai. Blog ka open hona uski speed pe depend hota hai. Isliye apne blog ko ache level ka blog bnane k 

lia uski speed ko jarur check kare or behtar bnaye. Website ki speed check karne k lia bohot saari websites hain but mai apko wohi websites btaunga jinki report bilkul sahi hoti hai or aap us k according apne blog ki speed ko badha sakte ho.

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

KESE KARE


  • Blog ki speed check karne k liye websites:
  1. GTmetrix
  2. PageSpeed Insights
  3. Pingdom
Ab mai aapko ek ek kar k in sabhi websites me speed check karne ka tarika btaunga:

1.GTmetrix :-Sabse phle apko GTmetrix ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here. Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. Waha apko box me apne blog/website 

ka URL daalna hai or side pe likhe "Analyze" ko click karna hai. Is button ko click karte hi apko apne blog ki speed dikh jayegi.

2.PageSpeed Insights :-Sabse phle apko PageSpeed Insights ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here . Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. 

Waha apko box me apne blog/website ka URL daalna hai or side pe likhe "Analyze" ko click karna hai. Is button ko click karte 
hi apko apne blog/website ki speed dikh jayegi. Ye google ki taraf se di gayi free service hai jiski help se aap easily apne blog ki 

speed check kar sakte hain.

3.Pingdom :-Sabse phle apko Pingdom ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here. Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. Waha apko box me apne blog/website ka URL daalna hai. Uske baad Test from me USA option ko choose karna hai or side pe likhe "Analyze" ko click kar dena hai. Button ko click karte hi apko apne blog/website ki speed dikh jayegi.

To friends dekha apne k blog ki speed check karna kitna easy hai. Agar apne abhi tak apne blog ki speed nahi check ki to jarur kare.

Or agar apko ye article acha laga to dosto k sath share karna na bhule

Thnks 

Wednesday, August 1, 2018

HOW TO SUBMIT SITEMAP IN GOOGLE WEBMASTER FROM MOBILE

HOW TO SUBMIT SITEMAP IN GOOGLE WEBMASTER FROM MOBILE

Is artical apko sitemap kese generate kiya jata hai or usko google webmaster me kese submit kiya jata hai ye btauga.

INTRODUCTION

Sabse pehle to ap ye jaan lijiye ki sitemap hota kya or ye humare website ya blog k liye jaruri kyu hai. jese ki naam se he pata chal raha hai ki sitemap matlab jo bhi apke site ya blog me saman hai ya jo apne likha hai ya theme me hai uska lekha jokha sab sitemap me hota hai. Apki site me kitne page hai kitne artical hai iski jankri bhi sitemap k pass hoti hai.

IMPORTANCE

ab sitemap hunko chiye kyu ye sawal apke mann me aa raha hoga agar ap ek naye blogger hai to mere mann me bhi tha. Aj me apko btata hu ki sitemap kyu humari website ya blog k liye jaruri hai. Ap kuch bhi post karte hai or us article ko publish kar dete hai to google ko kese pata chalega ki ye artcal unique hai ya isme jo baate likhi gayi hai vo logo tak pohchni hai. To ye sab sitemap ki madad se google analyses karta hai ki ya post kiski hai or kya post me kya hai isko aage leke aana hai ya nahi.

How to create sitemap

Sitemap ko banane k liye apko is link pe click karna hogaClick here

 is site ko open karne k baad apko apni site ka url bharna hoga jese he ap apni site ka url bharege apko apko kuch code dikhege apko us code ko copy kar k apne blog ki settings me ja k serch preference me jana hoga.

Serch preference main jane k baad apko ek option dikhai degi custom robots.txt isko apko edit pe click kar k yes karna hoga or yes karte he ek box open hoga usme apne jo code copy kiya tha usko paste karna hoga.

Submit sitemap on google webmaster 

Ab apko google webmaster site ko open karna hai open karne k baad apko apni id se usko connect kar lena hai. Uske baad apko ek add a property ka button dikhega uspe apko click kar k apni site ka url us property me dal dena hai.

Uske baad apko apni site ka ek box bana dikhai dega usko click kar k open kar lijiye. Open karne k baad apko right site ek chota setting ka button dikhai dega uspe click karne k baad verification details ko click kijiye uske baad verification with different method pe click karna hoga 

Uske baad apko html tag pe click karna hoga uske baad apko ek html code dikhai dega jisko apne apni blog k theme k html code me ja <head> k niche paste karna hoga or ye <head> apko 4 numb pe milega. Paste karne k baad apko verify pe click karna hoga jaha se apne code liye tha jani ki webmaster site se verify karne k baad verify ho jayega or continue pe click karna hoga. ab apko vaha. Sitemap ki option dikh rahi hogi usko click kijiye or vaha add a sitemap pe click kijiye vaha ek box khul jayega jisme apki site ka naam pehle se he likha hoga uske baad ek box bana hoga usme apko apna code dalna hoga 
Par rukiye pura code nahi sir /atom suru kar k last tak usko us box me paste kijiye or test pe click kare. Test pe is liye click kiya jata hai agar apki site me koi error hoga to vo bata dega agar nahi hai to bhi. Agar apki site me koi error nahi hai to fir se vohi sab kijiye or is baar submit pe click kar k sumit kr dijiye.
Done
Ab apko niche pending dikha raha hoga fikar mat kijiye ek din k baad vo apko dikhai nahi dega agar sab isi anusar kiya hai to.

Thanks for reading 💗agar acha laga to share karna na bhuliyega

Friday, July 27, 2018

HOW TO GIVE RANKING TO YOUR POST AND BLOG

HOW TO GIVE RANKING TO YOUR POST:


Aaj mai apko btaunga k aap apni post ko kaise ranking de sakte hain, mai apko kuch tips or websites k baare me btaunga jaha

apko work karna hai or waha se aap log jada se jada follow back link generate kar sakte hain or apne post ko ranking de sakte


hain, waha visitor b aayenge or apni website se aap log earning b kar sakte hain. Sabse phle aap article submission listing


directory me jaake apne article ko submit kare. Bohat saari websites hain jaha par jaakr aap apni post k lia do follow back link


generate kar sakte hain. Jaise ki ek website hai USA listing directory yaha se aap apni post k lia do follow back link generate


kar sakte hain. Link generate karne k lia interface k left top pe submit link ka option aayega usko click karna hai click karne k


baad waha ek naya page open hoga waha middle me ek box hoga jisme regular links ka option hai usko select karna hai or waha hi uske niche title dena hai apni post ka do follow back link generate karne k lia or apni post ko ranking dene k lia. Title dene k lia apko apni kisi edited post par jana hoga waha apki post k niche aa rahe 'edit' par click karna hai or 'view' ko bhi.


Waha page par post k sath wale box me ek link aayega usko copy karna hai or website pe jaakar title k aage usko paste kar dena


hai to waha apka title aa jayega or title k niche URL dene k lia apko apni post ko view karna hai to waha uska URL aa jayega


usko bhi copy karke URL wale box me paste kar dena hai. Uske niche description dene k lia apni edit waale interface par jaaye


or waha right side par search description ka option aayega usko click karoge to waha niche description aa jayegi usko copy


karlo or website me jaakar paste kardo. Uske niche META keywords or META description dene k lia aap upar wali description


ko hi thoda chota karlena hai or copy karke niche dono options k aage paste kar dena hai. Uske niche apko apni website ka


naam or apni email deni hai. Baaki aa rahe niche options ko khaali chodna hai or I AGREE ko accept kar lena hai. Accept


karne k baad apko niche continue ko click karna hai. Is se bohat aasani se aap apni website ko ranking de sakte hain or do


follow back wale link ko bhi generate kar sakte hain. Submit hone k baad waha upar aa jayega k apka link accept ho chuka hai


or uske niche kuch information bhi aayegi jisme likha hoga k ek do din isko review karne k baad apko link provide kar dia


jayega. Kuch sites paid hoti hain to waha se apko link kharidna padega. Baaki jo unpaid sites hain waha aap same procedure se


link le sakte hain. Kuch sites par apko category bhi select karna hoga to aap apni marji se koi bhi category select kar sakte hain.


Submit karne k baad upar aa rahi information me or bhi sites ka link aa jayega usko khol k aap dusri site me bhi submit kar


sakte hain. Jitna aap submit karenge utni hi apki website ki ranking badegi or jab bhi waha category ka option aayega to apko


sahi category choose karni hai nahi to apko apni website me kuch mushkil bhi aa sakti hai.


HOW TO GENERATE BACKLINK FROM INDIA'S TOPMOST BLOGGERS WEBSITE:


To iske baad mai apko btaunga k aap kaise india k jo topmost blogger hain or jinki website yaha bohat achi ranking me hai


usme bhi jaake aap backlink vagera kaise generate kar sakte hain. Sabse phle apko koi bhi hight ranking blog khol lena hi jisme apko comment karne ka option ho or usme aap


dekhoge k waha kitne logo ne likes or comments kiye honge is se apko pta chalega k us site par kitne visitors aate honge.


Simply apko upar aa rahe comment box me jaakar comment karna hai. Aap comment me kuch bhi acha compliment de sakte


hain for example 'Your blog is very nice' uske niche apko apna naam dena hai ya jo bhi apke blog ka naam hai, fir apko apni


email daalni hai or uske baad website me apko apni post ka URL daalna hai or niche post it ko click kar dena hai. Post ka URL


daalne se apko yaha se apki post ka backlink milega to google me ye sabse phle number par sabko dekhne ko milega. Jaise ki ek


website hai SHOUT ME LOUD jo ki topmost blogger me aate hain. Agar aap is site se apni website k lia backlink generate kar


lete ho to apka ulink backlink milega or sath hi sath apka post bhi or website bhi waha ranking karega. Waha aa rahe comment


box me apko comment karna hai jaise ki maine apko bataya ki waha aap post se related kuch bhi likh de or post ki taarif karde.


Uske niche aap apna naam dedo, apni email or niche apni post ya website ka URL dedo. Mai suggest karunga k aap apni


website ka URL na dekar apni post ka hi URL de. Sab fill karne k baad aap niche submit comment ko click karde. Waha upar


likha aa jayega k jo post k owner hain apki comment ko review kar lenge or agar unko apka comment pasand aaya to apka bhi


comment waha sabko dekhne ko milega or is se apko quality backlink milega. Ap bohat saare topmost bloggers ki post se


backlink le sakte hain jaise ki ek blogger hain Neil Patel aap unki post se bhi comment karke backlink le sakte hain. Us blog par


aap dekhenge k bohat saari comments hongi jis se aap andaaza lga sakte hain k waha sara din kitne log visit karte honge. Waha


bhi apko same procedure se backlink generate karna hai. Isi tarah se aap apne post ko jitni chahe ranking de sakte hain or jitni


chahe ranking kar sakte hain. Bloggersideas naam ki bhi ek bohat famous or important site hai jaha se aap apna backlink


generate kar sakte hain.

Tuesday, July 24, 2018

HOW TO ENABLE BELL ICON PUCH NOTIFICATION ON BLOG

How to enable bell icon push notification on blog


Hello doston..!! 
Agar ap ye artical padh rahe hai to sayad apka bhi koi blog hoga ya blog kese kam karta hai ye sikhne ke liye ap ye artical padh rahe hai. Bohat sari apne websites dakhi hogi jisme apko website k niche ek bell ka icon bana dikhi deta hai🔔 vo akhir hai kya? Or vo kese kaam karta hai or ap apne blog me kese laga sakte hai aj me apko ye sab btauga.


What is bell icon how its work?


Bell icon ek button hai jo ki bohat bade bade blogger apne website me lagate hai taki jo log unko pasand karte hai or unka koi bhi post miss nahi karna chate to vo log us bell k icon ko daba k unko subscribe kar sakte hai subscribe karne ka matlab ye hai ki jese he vo blogger koi artical post karega to uski notification unke mobile me chali jayegi or jo reader hai usko pata chal jayega ki post nayi aa gayi hai. 

Apki website or bhi sundar lagegi jab ye bell icon apki website k niche place hoga. Chaliye ye to baat ho gayi ye kese kaam karta hai ab jaan lete hai agad hum bell icon ko apni website me lagate hai to humko kya faida hoga.

Agar ap apni website ye bell icon laga lete hai to apki website genuine lagti hai or log ispe trust karte hai or agar ap bell icon ko apni website pe lagate hai to apko google k adsense milne me bhi asani hoti hai kyuki unko lagta hai ki ye writer genuine hai.

How to make?

Agar ap chate hai ki meri website ki tarha apki website pe bhi bell aa jaye or taki ap bhi adhik se adhik logo se jud sake to sabse pehle apko Click here  yaha pe click kare. or click karne k baad us site pe signup kare signup karne k baad apko is photos k anusar karna hoga.

1


 2


 3

 4

 5

 6


Jab ap add a prompt karege tab apko ek popup window dikhai degi apko us popup window ko bas save kar dena hai us mese kisi settings ko apko change nahi karna hai.uske baad apko page k sabse niche ja k save karna hai photo me dikhaye anusar.

 7


Jab ap save karoge to apko html code milega vo apko pura copy nahi karna hai us mese sirf apko "appid" k aage "_____" bich vala hissa copy karna hai.
Ab ap soch rahe hoge ki ye jo code hai humkk kaha pase karma hai to dosto apko main ek or code de raha hu usko copy kijiye or usko apne blog ke new gadget bana k paste karna hai.


 <script src="https://cdn.onesignal.com/sdks/OneSignalSDK.js" async='async'></script>
  <script>
    var OneSignal = window.OneSignal || [];
    OneSignal.push(["init", {
      appId: "YOUR_APP_ID",
      autoRegister: false, /* Set to true to automatically prompt visitors */
      httpPermissionRequest: {
        enable: true
      },
      notifyButton: {
          enable: true /* Set to false to hide */
      }
    }]);
  </script>
<script rel="nofollow" src="https://ishailesh.blogspot.in/"></script>


Is code me apko YOUR APP ID ko cut kar k APP ID bharni hai jo apne us site se copy kiya tha.
Id bharne k baad save kijiye or apka bell icon dikhna suru ho jayega.

Agar apko fir bhi koi dikat aati hai to ap mere ko mail kar ke ya mujhe comment kar k puch sakte hai or agar apko acha laga to dosto k sath isse share karna na bhuliye
Thanks