Wednesday, August 1, 2018

HOW TO SUBMIT SITEMAP IN GOOGLE WEBMASTER FROM MOBILE

HOW TO SUBMIT SITEMAP IN GOOGLE WEBMASTER FROM MOBILE

Is artical apko sitemap kese generate kiya jata hai or usko google webmaster me kese submit kiya jata hai ye btauga.

INTRODUCTION

Sabse pehle to ap ye jaan lijiye ki sitemap hota kya or ye humare website ya blog k liye jaruri kyu hai. jese ki naam se he pata chal raha hai ki sitemap matlab jo bhi apke site ya blog me saman hai ya jo apne likha hai ya theme me hai uska lekha jokha sab sitemap me hota hai. Apki site me kitne page hai kitne artical hai iski jankri bhi sitemap k pass hoti hai.

IMPORTANCE

ab sitemap hunko chiye kyu ye sawal apke mann me aa raha hoga agar ap ek naye blogger hai to mere mann me bhi tha. Aj me apko btata hu ki sitemap kyu humari website ya blog k liye jaruri hai. Ap kuch bhi post karte hai or us article ko publish kar dete hai to google ko kese pata chalega ki ye artcal unique hai ya isme jo baate likhi gayi hai vo logo tak pohchni hai. To ye sab sitemap ki madad se google analyses karta hai ki ya post kiski hai or kya post me kya hai isko aage leke aana hai ya nahi.

How to create sitemap

Sitemap ko banane k liye apko is link pe click karna hogaClick here

 is site ko open karne k baad apko apni site ka url bharna hoga jese he ap apni site ka url bharege apko apko kuch code dikhege apko us code ko copy kar k apne blog ki settings me ja k serch preference me jana hoga.

Serch preference main jane k baad apko ek option dikhai degi custom robots.txt isko apko edit pe click kar k yes karna hoga or yes karte he ek box open hoga usme apne jo code copy kiya tha usko paste karna hoga.

Submit sitemap on google webmaster 

Ab apko google webmaster site ko open karna hai open karne k baad apko apni id se usko connect kar lena hai. Uske baad apko ek add a property ka button dikhega uspe apko click kar k apni site ka url us property me dal dena hai.

Uske baad apko apni site ka ek box bana dikhai dega usko click kar k open kar lijiye. Open karne k baad apko right site ek chota setting ka button dikhai dega uspe click karne k baad verification details ko click kijiye uske baad verification with different method pe click karna hoga 

Uske baad apko html tag pe click karna hoga uske baad apko ek html code dikhai dega jisko apne apni blog k theme k html code me ja <head> k niche paste karna hoga or ye <head> apko 4 numb pe milega. Paste karne k baad apko verify pe click karna hoga jaha se apne code liye tha jani ki webmaster site se verify karne k baad verify ho jayega or continue pe click karna hoga. ab apko vaha. Sitemap ki option dikh rahi hogi usko click kijiye or vaha add a sitemap pe click kijiye vaha ek box khul jayega jisme apki site ka naam pehle se he likha hoga uske baad ek box bana hoga usme apko apna code dalna hoga 
Par rukiye pura code nahi sir /atom suru kar k last tak usko us box me paste kijiye or test pe click kare. Test pe is liye click kiya jata hai agar apki site me koi error hoga to vo bata dega agar nahi hai to bhi. Agar apki site me koi error nahi hai to fir se vohi sab kijiye or is baar submit pe click kar k sumit kr dijiye.
Done
Ab apko niche pending dikha raha hoga fikar mat kijiye ek din k baad vo apko dikhai nahi dega agar sab isi anusar kiya hai to.

Thanks for reading 💗agar acha laga to share karna na bhuliyega
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: