Saturday, July 28, 2018

CUSTOM RINGTONE FOR IPHONE

Custom ringtone for iphone 


Hello doston agar ap vohi ap apni iphone ki ringtone sun sun k thak gaye hai to aj main apko btaunga custom ringtone k baare k aap kaise apne iphone me kisi b song ko ringtone set kar sakte ho.

How to do this

Sabse phle apko app store se "garage band" naam ki application download karni hai 1.6gb ki ye app hai or ye ek dum free hai. Download 

karne k baad apko app open karni hai, jab aap open karenge to apko ek interface dekhne ko milega or pages honge jinko aap 

swipe kar sakte hain. Kayi baar dusra interface bhi khul jata hai jaha no recents aa rha hoga waha us page par top right par 

apko ek plus ka sign najar aayega jisko apko click karna hai. Aap usko click karoge to wahi dusra interface khul jayega jisme 

alag alag pages honge or unko aap swipe kar paaoge. Main interface kholne k baad apko aage aage swipe karna hai to waha 

"Audio Recorder" wala page aayega or us page ko open kar lena hai. Ek naya page waha khul jayega. Us page k top left me 

dekhoge to jo teesra icon hoga jisme alag alag sizes ki lines bani hongi usko apko click karna hai. Jab aap usko click karoge to 

waha ek naya layout khul jayega. Us layout me aap apni custom ringtone ki length set kar sakte ho, agar aap length ko badhana 

ya kam karna chahte ho to apko plus ko click karna hai jo apko top right me milega. Click karne k baad ek page khulega waha 

SectionA likha hoga or uske samne 8 bars likha hoga usko apko click karna hai. 8 bars ka matlab hai yaha 8 seconds. 8 bars ko 

click karne k baad waha manual ki option aayegi waha aap apni marji se koi bhi number set kar sakte ho or last number hai 30. 

For example 15 seconds, 15 seconds set karne k baad waha done kardo. Dubara phle wala page khul jayega or waha right side 

top me second last loop ka icon hoga usko click karna hai to apki audio files aa jayengi jo bhi apke phone me hain. Aap waha  

browse items karke apne documents me se bhi downloads use kar sakte ho. Downloads me se koi b song ko click karo to wo 

audio files me show hone lagega. Us song ko click karke bus apko drag karna hai to wo sabse phle wale layout me 

automatically set ho jayega jo apko length set karne wala layout bataya tha. Aap waha bars ko set kar sakte ho jitna bhi song 

apko apni ringtone k lia chaiye hai aap usi hisab se bars ki length ko chota ya bada kar sakte ho. Set karne k baad top left ek 

sabse phla downwards arrow ka icon hoga usko click karna hai or wo icon 'my songs' wala hai. Click karne k baad apka song 

ready ho jayega. Waha ek naya layout khulega or chota sa my song wala box bana aa jayega. Us box ko click or hold karke chod 

dena hai to waha share ka option aa jayega or share ko click karna hai. Share ko jab aap click karoge to waha ek layout khulega 

jisme ringtone ka option aayega, usko apko click karna hai. Click karne k baad ek box pop up hoga waha 'continue' ko click 

kar dena hai. Ek or page khulega jaha se aap apni ringtone ka name change kar sakte hain. Name change karne k baad waha 

'export' ko click kar dena hai to waha exporting shuru ho jayegi. Uske baad waha ek box pop up hoga, us time aap baad me bhi 

ringtone ki settings kar sakte ho phone ki settings me jaakar ya aap app me bhi uski setting kar sakte ho. App me hi setting 

karne k lia jo box pop up hua waha 'use sound as' option ko click karke 'standard ringtone' ko click kardo. Waha se aap apne 

kisi contact par bhi ringtone lga sakte ho.
Previous Post
Next Post

post written by:

2 comments:

  1. Very Nice Post And As Well As Your Theme Looks Great
    Keep It Up

    ReplyDelete