Friday, August 3, 2018

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE


Hello friends, welcome. Aaj mai apko btaunga k aap apni website ya blog ki speed kaise check kar sakte hain.

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

KUCH JARURI BAATEN

Jab aap apne lia koi blog ya website bnate ho to uske lia apko template ki jarurat hoti hai or uski designing achi bnane k lia aap bohat saare widget ka use karte ho or additional feature add karne k lia aap wordpress k blog me naye naye plugin ka use karte ho. Jab blog acha bann jata tab usme post likhi jaati hai or post k sath image add karte hain or post ko publish kiya jata hai taaki user blog par visit kare or us post ko padh sake. Jab viewers apke blog par aate hain or kisi post ko padhna chahte hain to sabse important hota hai k apke blog ki speed kaisi hai or user k PC/laptop pe khul rahi hai ya nahi ya fir apka blog slow internet connection par open hota hai. Blog ka open hona uski speed pe depend hota hai. Isliye apne blog ko ache level ka blog bnane k 

lia uski speed ko jarur check kare or behtar bnaye. Website ki speed check karne k lia bohot saari websites hain but mai apko wohi websites btaunga jinki report bilkul sahi hoti hai or aap us k according apne blog ki speed ko badha sakte ho.

BLOG YA WEBSITE KI SPEED KESE CHECK KARE

KESE KARE


  • Blog ki speed check karne k liye websites:
  1. GTmetrix
  2. PageSpeed Insights
  3. Pingdom
Ab mai aapko ek ek kar k in sabhi websites me speed check karne ka tarika btaunga:

1.GTmetrix :-Sabse phle apko GTmetrix ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here. Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. Waha apko box me apne blog/website 

ka URL daalna hai or side pe likhe "Analyze" ko click karna hai. Is button ko click karte hi apko apne blog ki speed dikh jayegi.

2.PageSpeed Insights :-Sabse phle apko PageSpeed Insights ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here . Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. 

Waha apko box me apne blog/website ka URL daalna hai or side pe likhe "Analyze" ko click karna hai. Is button ko click karte 
hi apko apne blog/website ki speed dikh jayegi. Ye google ki taraf se di gayi free service hai jiski help se aap easily apne blog ki 

speed check kar sakte hain.

3.Pingdom :-Sabse phle apko Pingdom ki website par jana hai. Website par jaane k lia apko click karna hai is link par- Click here. Jab aap is link ko click karenge to apke samne website khul jayegi. Waha apko box me apne blog/website ka URL daalna hai. Uske baad Test from me USA option ko choose karna hai or side pe likhe "Analyze" ko click kar dena hai. Button ko click karte hi apko apne blog/website ki speed dikh jayegi.

To friends dekha apne k blog ki speed check karna kitna easy hai. Agar apne abhi tak apne blog ki speed nahi check ki to jarur kare.

Or agar apko ye article acha laga to dosto k sath share karna na bhule

Thnks 
Previous Post
Next Post

post written by:

4 comments: