BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE
Sitemap ap main se kafi logo ko pata he hoga kya hai agar apka blog hai ya ap blog ki knowledge rakhte hai. Or jin logo ko nahi pata ko site map kya hai unko me bata du ki "sitemap ka matlab hai jo apki site hai uska sab record sitemap k pass hota hai sitemap se he pata chalta hai ki apki site me kitne post hai ya jo bhi apki site me is waqt hai vo sab sitemap me hota hai"
BING MAIN SITEMAP KESE SUBMIT KARE
Aagar apka blog hai to apne apna site map abhi tak google webmaster tool me submit kar he diya hoga ab sawal ye hai ki humko bing ki sitemap ki jarurat kyu padti hai.
Agar ap apni blogging ki suruati dino me hai jaha apke blog me traffic na k brabar hai or google webmaster me site ko submit karne k baad bhi traffic ghis ghis k aa raha hai to apko ek baar bing webmaster tool me bhi apna sitemap submit karna chiye taki or log apki site tak aa sake. Kyuki hum log sochte hai ki google he ek esa serch engine hai jaha se log serch karte hai par kai desho me esa nahi hai. Kai log bing kai log yahoo or kai log Google me search karte hai. Agar humare pass bing se thodi bhi traffic aa jaye to humri site ka reng sudhar sakta hai.
- To chaliye jaan lete hai bing me sitemap kese generate karte hai or kese submit
How to generate and submit sitemap
Sabse pehle to apko apni site ka sitemap bnana hoga iske liye apko yaha click karna hoga Click here . Click karne k baad apko ek box dikhai dega usme apko apni site ka url bharna hai
Url bharne k baad apko ek box dikhai degaa jisme apko apka sitemap hoga ye kuch code k form me hoga. Bod me dikh rahe code he apka sitemap hai. Isko ap kahi notepad pe save kar k rakh le
Iske baat apko google main ja k likhna hai Bing webmaster jo apko pehla result dikhai dega uspe click kare or signup pe click kare. Signup click karne k baad apko 3 option dikhai degi usme se apko Microsoft ko select kar a account banana hai.
Microsoft ko click karne k baad apse e-mail ka pucha jayega apni website k hisab se kuch bhi email rakh sakte hau par yaad rakhiye ki @ k aage outlook.com he lagana hai. Exp ka tor pe abcd@outlook.com ab apko sab samaj aa jayege ki aage kya karna hai.
Signup hone k baad apko apni site bing webmaster tool me submit karni hai. Uske liye apko apni site ka link box me paste kar k ya bhar k add kar dena hai.
Ab apko vaha pe ek option dikhai de rahi hogi jisme likha hoga sitemap apko uspe click karna hai or vaha box me jo apne notepad pe code likha tha uska niche vala hissa matlab jaha se apki site suru ho rahi hai usko bharna hai. Bharne k baad apko ek code dikhai dega vo code ko apko apne blog ki theme me ja k html me head k niche paste karna hoga or verify ko click karna hoga.
Or apki site kuch dino me verify ho jayegi.
Thnks for reading
0 comments: