Tuesday, August 14, 2018

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE


KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE
Keywords everywhere plugin for Android mobile dosto agar ap ek blogger hai ya apke pass ek youtube channel hai to ap is tool k baare me jante he hoge. Agar ap nahi jante to aj me apko btauga ki ye tool kya hai or iska use kese karna hai.


What is keywords everywhere


Ye ek plugin tool hai jo apke laptop ya apke pc me use kiya jata hai jada tar log isko apne pc ya laptop me he use karte hai. Agar ap youtube me bhi dakhoge to sab video pc ya laptop k upar he bnaya gya hai. 
Par har kisi k pass laptop ya computer ho ye bhi sambhav nahi. Agar ap blogging mobile se karte hai ya apka apka youtube channel hai to ye tool pass hona he chahiye. Or aj me apko btauga ki ye tool ap apne mobile pe kese use kar sakte hai.

Ab apke mann me sawal hoga akhir ye plugin ya tool karta kya hai or ye humara kaam asan kese kar deta hai to dosto agar ap google me search karte hai to vo apko ek ratio bata deta hai kisne log ye cheez search kar rahe hai. 

Par agar ap ye tool ka use kar rahe hai to ye sath me apko te bhi bta deta hai ki iske month me kithe search hue hai or kitni cpc hai or sath me suggesting keywords bhi bta deta hai. Jese ki al google pe search karte hai "how to make money online" uske search month k 1lakh hai par ye niche suggestions me ye bhi bata dega ki "how to make money online at home 2018" keyword pe monthly serch 12lakh hai or kiski cpc bhi adhik hai to ye tool humare bohat kaam aa sakta hai agar ap ek blogger ya youtuber hai to.

Also read:

Bing me sitemap kese submit kare 

Download videos in iphone

Guide to use keywords everywhere in Android

Apko is plugin ko use karne se pehle apne mobile me Firefox naam ka ek browser download karna hoga uske baad picture me dikhte anusaar apko step follow karne hoge.

Firefox browser kholne ke baad apko is 3 dot pe click karna hoga.


Isme apko add-ons ka option pe click karna hai.


Add-ons click karne k baad apko third option browse all firefox add-ons pe click karna hai.


Iske baad apko search box me keywords everywhere bharna hai.


Apko jo pehle numb pe dikh raha hai uspe click kar lena hai or apko logo saaf dikh raha hai ki 'k' likha hua hai lal rang me.


Iske baad apko add button pe click karna hai.


Iske baad ap jab 3dot ko upar se click karege to apko keywords everywhere ka sabse niche option dikhai dena suru ho jayega.


Ap ap kuch bhi google pe serch kare apko apni screen k niche kuch is tarha ha lal rang ka gola sa bana dikhai dega uspe click kare.


Red dot ko jab ap click karege apko ye likha hua dikhai dega isme apko free API key ko click karna hai.


Apme ap apna email address ko bharege or dono box ko tic kar dege.


Iske baad apko mail aayegi jisme apko ek key hogi usko apko copy kar lena hai.


Copy karne k baad apko fir 3dot pe click karna hai or sabse last me dikh rahe keywords everywhere ko click karna hai.


Ab apko yaha pe update settings ki option dikhai de rahi hai ispe click kare. Usme apko ek box dikhai dega usme apko apni copy ki gayi key ko paste karna hai or bahar aa jana hai.


Ab ap jab bhi kuch google pe search karege to apke samne is tarha se option dikhi dene suru ho jayege jo apke liye bohat he help karege.

KEYWORDS EVERYWHERE PLUGIN FOR ANDROID MOBILE
-------------------------------------------------------------------

Agar dosto apko ye artical acha laga to pls dosto k sath share kare or agar apko is artical me kuch kami lagti hai to pls apne vichar comments me dena na bhule

Thanks


Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: