How to run exe file on android/ android main exe file kese run kare
How to run exe file on android:- Hello dosto pichle artical main mene apko btaya tha ki ap android mobile me window kese run kar sakte hai. Or aj main apko btane ja raha hu ki ap apne mobile me computer exe file kese run kar sakte hai.
Exe file run karne ka tarika
Sabse pehle apko apne mobile k browser me ja k wine exe type karna hoga or jo second number pe apko site dikh rahi hai uspe click karna hai uske baad apko apko niche download ka option dikhai dega. Download ko click karne k baad apko android select karna hai. Ab apko bohat sare download version nazar aayege apko sabse latest verson he download karna hai.
Ab apko latest version k bhi 2 apk nazar aayege agar apke mobile main intel processer hai to apko x36 vali apk file download karni hogi or agar apke mobile snapdragon ya mediatek pa processer hai to apko arm vali file download karni hogi. Ab apko download ki hui file ko open karna hai.
Ab apki app open hone k baad command window open ho jayegi. Is app me apko keyboard ki jarurat padegi or ap mobile k internal keypad ko use nahi kar payege is vajah se apko kuch alag se app download karne padege.
Sabse pehli app jo apko download karni hai uska naam hai screen rotation kyuki ye app apko landscape mode me app use karne ka moka degi or dusri app jo apko download karni hai vo hai clavis keyboard free ab apko ek or app download karni hai jiska naam hai showkey ye apko play store me nahi milegi apko google se download karna hoga. Is ap ka use ye hai ki ap kahi bhi keyboard open kar sakte hai. Sabhi apps ki image niche di gayi hai.
Showkey download karne k liye Click here yaha click kare
Ab apko wine app open karna hai wine app open karne k baad apko apko notification se screen rotation open kar k portrait mode ko select kar lena hai ab apko fir se nofification ko slide karna hai or showkey app pe click karna hai. Ab apko command me type karna hai "winecfg" and hit enter. Ab apko ek new window open ho jayegi ab ap dakhegi ki jo window ka size hai vo bada hai isi liye humko ek setting karni hai.
Ab apko graphics me jana hai yaha apko screen resolution main 480dpi dikh raha hoga usko apko kam kar k 250 ya 260 kar dena hai or enter kar dena hai. Ab apko fir command me "winecfg" type ke k enter karna hai ab ap dakhege scree resolution mobile me fit aa raha hai. Ab apko wine app ko close kar dena hai or mobile ki setting me ja k mobile screen rotation ko ko force close kar dena hai. ab apko mobile auto rotate kar dena hai or wine app ko open karna hai ab ap dakhege ki wine app landscape mode me khul rahi hai or pura mobile me fit aa rahi hai.
Ab apko jo exe file run karni hai usko download kar ke mobile me save kar leni hai or ek folder me rakh lena hai jisme apko yaad rahe. Ab wine app k left corner me start pe click karna hai or run pe click karna hai or browse file pe click kar k jaha apne file rahi hai usko select kar lena hai.
Ap lag bhag sabhi exe file run kar sakte hai or apne mobile ko ko computer bana sakte hai

0 comments: