Thursday, August 9, 2018

PUBG - HISTORY OF PUBG GAME

PUBG - HISTORY OF PUBG GAME 



PUBG - HISTORY OF PUBG GAME
Aaj mai apko btaunga Playerunknown's Battlegrounds k baare jisko hum PUBG bhi kehte hain. Ap logo ne is game k baare me apne suna he hoga kyuki aajkal PUBG bohat trending chal rahi hai or sabse popular game hai.


PUBG - HISTORY OF PUBG GAME 


Inside the game 


 PUBG ek bohat hi interesting gamehai or aaj mai apko isko khelne ka tarika or isme kya kya hota hai sab btaunga. PUBG ki shuruaat 100 players se hoti hai jinko
kidnap kiya jata hai. In 100 players ko ek russian island me survive karna hota hai. Players parachute ki madad se plane se
jump karte hain apni survival k lia or sab players apne hisab se select karte hain k unko kis direction me jump karna hai.
PUBG - HISTORY OF PUBG GAME
PUBG me 1 player ko baaki 99 logo ko harana hota hai chicken dinner k lia jo ki is game ka reward hai. Ye ek aisa game hai
jisko sabhi jeetna chahte hain. PUBG me players ko gharo me jaakar loot karni padti hai jaha unko bohat saari guns, rifles,
grenades, first aid box or bohat saari cheeze milti hain. Phle bhi apne is game k jaisi movies dekhi hongi jaise Battle Royale, or
bhi bohat saari. PUBG bhi unhi movies se inspired hai.

Also read:
How to buy free domain?

Make money from mobile photos

CEO AND FOUNDER


BRENDAN GREENE jinhe Brendan Playerunknown Greene bhi kehte
hain PUBG k designer hai. Phle Brendan koi game designer nahi the balki ek irish photographer the jinhe thoda bohat web
PUBG - HISTORY OF PUBG GAME
designing or graphic designing ka kaam aata tha. Baad me Brendan Ireland chod k Brazil chale gye or waha par apni girlfriend
se shaadi karli or kuch saalo k lia waha par hi bass gye. 2 saal baad unka divorce ho gya or is cheez se Brendan kaafi depressed
ho gye. Depression ki vajah se Brendan fir se apne ghar Ireland chale gye. Apna time paas karne k lia wo video games khelne
lag gye jaise Call of duty or Assassin's creed. Ireland me Brendan ne do or games ki khoj ki jiske naam hain Arma or Dayz. Ye
dono hi games Brendan ko kaafi pasand aaye. Arma ek military tactical shooter game hai or isme kaafi mod kiye jaa sakte hain
or dusri taraf Dayz jo hai wo Arma game ka hi mod hai jisme zombies se ladhna pdta hai. Fir baad me Brendan ne Dayz game
ka hi ek mod banaya jiska naam tha Dayz battle royale. Ye naya game kaafi popular hua or isko dekhte hue Sony Online
PUBG - HISTORY OF PUBG GAME
Entertainment jiska naam ab Daybreak company ho gya hai unhone Brendan ko job offer dia ek game bnane k lia jo ki ek
survival game tha or wo bhi Dayz se hi inspired tha. Wo naya game jo Brendan ne Sony company k sath mil kar banaya tha
uska naam tha H1Z1 King of the kill. Fir Brendan ne Daybreak company chod di or South Korea chale gye february 2016 me.
Waha Brendan mile ek Korean game designer se jinka naam tha Chang han kim jo Bluehole naam ki company me kaam karte
the or battle royale game banana chahte the or wo bhi Dayz game se kaafi impressed the. Wo Korean game company ek aisa
survival game banana chahte the jo aaj tak kisi company ne naa bnai ho. Us company ka idea Brendan ko bohat acha lga or wo
PUBG - HISTORY OF PUBG GAME
sabhi game bnane me lag gye. Brendan ki team ne bohat mehnat ki or wo sab chahte the k game ek saal k andar andar bann
jaye or sath hi sath saste me bhi. Early 2016 me game bann na shuru hua or unki team k paas sirf ek saal ki deadline thi. Phle
to Brendan ki team ne ek chota sa game banaya jisme ek map ek mode or sirf kuch hi weapons the. Dheere dheere game ka
development bhadta gya or finally march 2017 me game battlegrounds ko release kiya early access k lia steam pe. Battlegrounds
game gamers ko kaafi pasand aaya kyuki aisa game gamers ne khela hi nahi tha or ye ek pura naya concept tha. Kuch hi time

Also read:
How to download videos im iphone?

me PUBG ki ranking badhti gayi or bohat saare gamers judte gye or ye best seller game bann gya. Jaldi hi PUBG k 1 crore
round khele gye or sirf 4 mahino k andar andar 4500 crore rs kama liye Bluehole company ne sirf 11 dino k andar andar. April
hone tak game ki 10 lakh copies bik chuki thi or next month 20 lakh copies bik gayi or uske agle mahine 40 lakh copies bik
chuki thi. PUBG ne bade bade online games jaise Dota2, League of legends ko bhi piche chod dia or aaj is game k 30 lakh se
bhi jada active players hain. Shuru se hi is game ka motive tha survive karna or aaj bhi ye badla nahi hai. Aane waale versions
me naye map add kiye jayenge  par Brendan k anusar ye original map jisme PUBG ki shuruaat kari hamesha hi iconic rahega.
September 2017 ko PUBG cooperation ki shuruaat hui jo ki bluehole ki ek subsidiary company hai or iska office America me
khola gya. Aane wale time me Europe or Japan me bhi office khole jayenge. December 2017 ko game realease hua Pc or Xbox
me or ek naya map bhi add kiya gya hai pc version me jo ki ek desert map hai or aane wale time me ye game Ps4 me bhi khela
jaa sakega. March 15 ko android me game ka beta program release kiya or march 16 ko IOS devices me. PUBG ko march 19 ko
finally international market me release kiya gya. Aaj PUBG ki popularity itni badh gyi hai k is game ko baaki k games copy
karne lag gye hain jaise ki Fortnite battle royale or kuch chinese games bhi. Brendan ne jab ye game design kiya tha to socha
nahi tha k is game me itna potential hai ki badi companies jaise Facebook, Tencent, Epic games bhi isme apna paisa lgayenge or
aaj is game ko rokna bohat mushkil hai.

To dosto agar apko ye artical acha laga to dosto k sath sahere karna na bhule or apne social networks bhi bhi jarur post kare.

Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: