Sunday, August 26, 2018

MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE

MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE


Aj ke dorr main mobile phone sirf baat karne ka madhyam he nahi reh gaya aj ap mobile k madad se bohat se ese kaam hai jo ap chutkiyo me ghar bathe kar sakte hai. Jisme se me aj apko btauga ki "mobile camera ko cctv camera kaise banaya ja sakta hai" ye apke liye kyu jaruri hai or ap iski madad se kya kar sakte hai aj hum is artical me ye janege.
MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE

MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE


Cctv camera banane ki kyu jarurat hai

aj ke time me log apne ghar se jada apne kaam me busy rehte hai or kai baar to esa hota hai ki kaam ki vja se saara saara din log apne ghar se bahar rehte hai. Par ghar pe chinta bhi bani rehti hai ki ghar sab thik ho.


Esa bhi ho sakta hai ki apke ghar me koi bajurg insaan ho ya apke ghar main bache ho jinse ap durr jana nahi chate par majburi me apko durr jana padta hai. Mobile camera ko cctv camera banane ka maksad yahi hai ki agar apke ghar me koi nigrani rakhne vala nahi hai to ap apne mobile k camera se unke upar nazar rakh sakte hai or unse baat bhi kar sakte hai.

Also read:
Agar ap apne paiso se ek acha cctv camera ghar me lagwate hai to uski kimat lagbhag 12 se 15 hajar h bich aati hai jo ki har koi nahi le sakta. 
Or agar ap mobile ko cctv camra bana lete hai to ap saste se sasta Android mobile se bhi kar sakte hai or aj kal market me android mobile ki kimat 2000rs se suru ho jati hai. Kai baar esa bhi hota hai ki apke pass koi ghar me faltu mobile pada ho jiska istemal ap camara bana k kar sakte hai.

Mobile ke camera ko cctv camera banane ka tarika

Sabse pehle to apko mobile ko cctv banane k liye ek Android mobile chiye ye jaruri nahi hai ki apka mobile mehga he hona chiye ap ye cheez saste se saste mobile main bhi kar sakte hai. Iske baad apko apne mobile me 'trackview' naam ki app ko download karna hoga.
MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE

Apko playstore me bohat se esi app milegi jo mobile ko cctv banane ka dawa karegi ya esa bhi likha ho sakta hai ki ip camera, ip webcam, cctv camera par is mese koi bhi app apke matlab ki nahi hogi. Apko sirf  'trackview' naam ki app ko download karna hai or bas kam suru.
MOBILE CAMERA KO CCTV CAMERA KAISE BANAYE

  • Jaruri baatan yaad rakhen
  1. Apko trackview app ko dono mobile download karna hoga.
  2. Apko dono mobile me ek he e-mail se login karna hoga.
  3. Ap is app ki madad se location ka pata laga sakte hai.
  4. Ap is app ki madad se durr bath k bina bina kiye baat kar sakte hai
  5. Agar apka mobile silent ho gya hai to ap ek button ki madad se alarm de sakte hai.
  6. Hide mode ki madad se agar kisi ke hath me mobile hai to ap durr bath k dakh sakte hai or dusre insaan ko pata bhi nahi chalega.
  7. Ap front or back camera dono ka istemal kar sakte hai.
  8. Isme night mode bhi diya gya hai jiski madad se ap andhre me bhi dakh sakte hai.
----------------------------------------------------------
Agar apko mera ye artical acha laga to dosto kr satsath share karna na bhule or apko koi kami ya sujhav dena ho to comment box me apne vichar jarur share kare
Thanks 
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: