Thursday, July 26, 2018

HOW TO ADD ONLINE CHAT BUTTON ON BLOG

How to add online chat in your blog 


Introduction

Hello doston...!!
Aj main is artical me apko btauga ki  tarha se ap apne blog website me online chat button add kar sakte hai. Iska sabse bada faida ye hai ki jo apke follower hai or jo apke artical padhte hai agar unko koi dikkat hai to vo apse sidha online sawal puch sakte hai. Unko sirf apna naam or email bharna hoga or vo sidha apse online baat kar payege.
Esa nahi hai ki ap sirf unse online he baat kar paoge agar ap online nahi bhi hai to vo apko msg kar sakte hai jinka jawab ap baad me de paoge.
Ap isko apne hisab se apni site k hisab se iska rang or aakar badal sakte hai.
Jese ki ap meri blog me dakh sakte hai ki left side online chat ka show kar raha hai or right side notification bell ka. Or agar ap bhi apni site pe esa button lagana chate hai to to aaiye sikhte hai.

How it make 

Sabse pehle to apko Click here is site pe click kar ke apna account bana lena hai.
Isme account bana lene k baad apko kuch code dikhege. Us html code ko apko apne blog me ja ke footer me add a gadget me paste karna hoga.
Bas itna karne k baad apka icon apke site me dikhna suru ho jayega.
Agar apko button ka rang ya aakar change karna hai to ap us site me ja kr change kar sakte hai. Niche dikhe gayi photos me apko bta diya gya hai ki kese or kya karna hai.

1

2

 3




Ye code apko blogger ke layout me ja k footer me new gadget bana k paste karna hoga or apko kuch change karne ki jarurat nahi hai.

Agar apko ye post acha laga to please ap isko apne dosto ko bhi share kare
Thanks 💛

Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: